Sunday 6 October 2013

Muhajir Nama Collection 5



Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

Sada-e-reahal ne roka magar ruk hi nai paye
yahan aane ki jaldi me sipara chor aaye hain..!!

farishte do muqarrar the aamaal likhne ko
hame lagta h jaise ek farishta chor aaye hain..!!

milawat k zamane me zyada yaad aata h
ki apni bhains apna dhoodh wala chor aaye hain..!!

hawas hi hamko layi h hawas k sath rehna h
virasat me mila wo faqr-o-faqa chor aaye hain..!!

wo hijrat thi ki mayyat thi tamasha ban gye the ham
ghadi rukhsat ki aayi sab ko gunga chor aaye hain..!!

galay fehmi me uljha reh gya wo phool sa chehra,
ham uski jheel si aankhon ko thehra chor aaye hain..!!

nai duniya ki khatir apni duniya chor di hamne,
sahare ki tanman'na me sahara chor aaye hain..!!

Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

No comments:

Post a Comment