Monday 19 April 2010

Teri Yaad…



Ab teri yad sy wehshat nahin hoti mujh ko
Zakhm khulty hain aziyat nahin hoti mujh ko

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hn
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko

Aisy badla hn tery sheher ka pani pee kar
Jhoot bolon to nadamat nahin hoti mujh ko

Hy amanat main khayanat so kissi ki khatir
koi marta hy to herat nahin hoti mujh ko

Itna masroof hn jeeny ki hawas main Mohsin
Saans leny ki bhi fursat nahin hoti mujh ko…

------------------------------------------------------------------------------

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake

Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye…

Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.

Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.

Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota …

Mere Paas Laut Aana…



Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana”
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
To Darna Mat
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana

Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
“Meri Paas Laut Aana”

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
“Mere Paas Laut Aana”

Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
“Mere Paas Laut Aana “

Merey dil mein basi…



Mere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,

Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,

Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,

Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,

Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum…!!

Saturday 27 March 2010

Dard se khelna sikh gaye hum!



Dard se khelna sikh gaye hum,
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham,

kya btayeHame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!!

--------------------------------------------------------------------

Hamne tho apna dil unke hath me thama tha,
Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha,
unhone b kya koob natak nachwaya tha,
tod k dil bazar me dande se tookwaya tha!!

------------------------------------------------------------------
Legayi sb kuch magar bas kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akhri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye,
Wo kha k raham rehne diya!!

------------------------------------------------------------------

Mili he bahut saja unse Dil lagane ki,
Nazar lag gai mere pyar ko zmane ki,
Markr b KABAR se Nikle rahe dono hath,
Arju rah gai unhe gale Lgane Ki!!

------------------------------------------------------------------

Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye,
Hamko rokna Tha magar rok na ruke,
Dhono ka safar to shuru hogaya tha,
Fark To Sirf Itna Tha,
Unko doli me bitaya gaya,
aur Hame dole me sulaya gaya!!

------------------------------------------------------------------

Kafan na dalo mere Chehre par,
mujhe Aadat hai muskuraney ki,
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,
aaj umeed hai unke Aane ki!!

-------------------------------------------------------------------

Mohabbt me yeh Hum kahan agaye,
Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,
ye mohbbt bhi kya cheez hai yaro,
jab ek moqaam se nikal gaye,
To dusre moqaam pahunch gaye,
jab maikane se nikle the,
Aaj kabrstan pahunchaye gaye!!

--------------------------------------------------------------------

Khuda ki mahobbat fanah kaun karega,
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega,
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,
Warna hamari maut ki dua kaun karega!!!

---------------------------------------------------------------------

Aurat Kya kya hai!




“Aourat ka samman karo mat iska apmaan karo,
Ma banke pyar ye deti baise tum bhi pyae karo,

Kabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati hai,
Maa banke duniya me yeh kitne farz nibhati hai,

Ghar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati hai,
Ghar ki aan maan ki khatir har dukh sah jati hai,

Jaan ko apni de deti hai izzat nahi gavati hai,
Kabhi sati banke aourat lapto me jal jati hai,

Har dukh haskar sahti himmat nahi harti hai,
Jisko dil se pyar yeh karti uss par jaan barti hai,

Aourat bo phool kamal hai duniya ko mahkati hai,
Pyar ke yeh deep jala kar jag roshan kar jati hai,

Ab socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai
“SAGAR” kahta aourat sab kuch aourat se hi duniya hai”!!

--------------------------------------------------------------------------------

Phool bankar muskarana zindagi hai!



Phool bankar muskarana zindagi hai,
muskarake gum bhulana zindagi hai,
jeet kar koi khush ho to kya hua hai,
haar kar khushiya manana bhi zindagi hai!!

---------------------------------------------------------------
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!!

---------------------------------------------------------------
AB aUR mANZIL pANE kI hASRAT nAHI,
kISI kI yAAD mE mAR jANE kI fITRAT nAHI,
aAP jESE dOST jABSE mILE,
kISI aUR kO dOST bANANE kI jARURAT nAHI!!

----------------------------------------------------------------
Is kadar ham unki mohabbat me kho gaye,
Ki ek najar dekha aur bas unhi ke ham ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha, dekha ek sapna tha,
Aankh band ki aur, unhi sapno me phir so gaye!!

-------------------------------------------------------------------
Dosti me dil ka tamasha dekha nahi jata,
Hamse tuta hua sheesha dekha nahi jata,
Apne hisse ki khushiya bhi de du tujhe,
Ae dost tera utra hua chehra dekha nahi jaata!!

---------------------------------------------------------------------
Din tere khyaal me gujar jaata hai,
Raat ko bhi tera hi khyaal aata hai,
Kabhi-kabhi ye khyaal is kadar bad jaata hai,
Ki aaine me bhi tera chehra najar aata hai!!

---------------------------------------------------------------------

Yaar ne dil ka haal batana chod diya,
Hamne bhi gahraai me jaana chod diya,
Jab usko hi doori ka ehasaas nahi,
Hamne bhi ehasaas dilana chod diya!!

---------------------------------------------------------------------

Bikharti zulf ki parchaiyan mujhe de do,
Tum apni sham ki tanhaiyan mujhe de do,

Main tumko yaad karun aur tum chale aao,
Tuma apne pyar ki sachaiyan mujhe de do,

Main doob jaun tumhari udaas ankhon mein,
Tum apne dard ki gehraiyan mujhe de do,

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do!!

---------------------------------------------------------------------

Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main!



Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe—-teri bewafaai main!!

------------------------------------------------------
Matt puch mere sabar ki inteha kaha tak hai?
tu sitam kar le,teri taqkat jaha tak hai,
wafa ki umeed jinhe hogi,unhe hogi,
humein toh dekhna hai,
tu zalim kaha tak hai!!

-------------------------------------------------------
Mayoos mat hona, yeh aik guna hota hai
Milta vahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez milhe humain, yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai!!

------------------------------------------------------------
Jan kar bhi tum mujhe jan na paye,
aaj tak tum mujhe pehchan na paye,
khud hi ki hai bewafai hum ne,
ta ki tujh pe koi ilzaam na aaye!!

------------------------------------------------------------
Jinki raahon mein humne bhichai the sitare,
Unse kehte hai harpal aansuon ke sahare,
Ho gaye hai saare shikwe kitne kinare,
Magar phir bhi kyun woh huwy na humare!!

------------------------------------------------------------
Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti!!

------------------------------------------------------------

Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bi Tadapne Ke Liye Zindagi De di!!

-------------------------------------------------------------
Aaj ki raat mera darde mohabbat sun le,
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le,
aaj izhare khayalat ka mouqa de de,
ham tere shahir me aaye hai musafir ki tarah!!

-------------------------------------------------------------
ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil
apni humsafar unka koi aur hota hai!!

-------------------------------------------------------------

socha na tha aisa yaar milega,
ek mudat ke bad itna pyar milega,
Hum to ruswa ho chuke they duniya se,
umid nahi thi aap jaisa dildar milega!!!

Kyu is tarha se mujhe chahta hai koi!



Dil ki awaaj se nagame badal jate hai,
Sath na de to apane badal jate hai,
Palaken jara sambal ke jhapakana,
Kyonki palaken jhapakane se
Aksar sapane badal jate hai!!

----------------------------------------------------

Agar pyar nahi karna ho to dil ko na lagana,
Apna chain kho kar khud ko na rulana,

Jis dil ko pyar karna na usko tod dena,
Yeh aaj ka nahi hai kissa hai purana,

Ulfat me aaj dekho koi kya se kua bana hai,
Koi ashq hai bahata koi ban gaya diwana,

Kuch logo ne pyar ko aise badnam kar diya,
Kyu karte ho pyar jab aata nahi nibhana,

Kuch ladke ladkiyan pyar ko kyu khel hai samjhte,
“SAGAR” ko bata do yeh kyu karta hai zamana!!

---------------------------------------------------------

Kyu is tarha se mujhe chahta hai koi,
Ki jese ehasaan utarta hai koi,

Ghar se bhahar nikla to tassali hui,
Duniya me aaj bhi phachanta hai koi!!

Jab koi dard de jata hai unko,
To kyu tanhaiyo me mujhe pukarta hai koi,

Mohbbat or dosti kabhi jhuti na kar pya mein,
Dhood se makkhi k tarah kyu mujhe nikalta hai koi,

Ab kisi or ki mohbbat Kabul na kar ashiqe,
Ki phir tujhe dard-e-mohbbat dena chahta hai!!

--------------------------------------------------------------

Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna

A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.

Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.

Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma!!

-----------------------------------------------------

Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye!!

--------------------------------------------------------

Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me!!

-------------------------------------------------------

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the!!

-----------------------------------------------------

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota!!

------------------------------------------------------

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye!!

------------------------------------------------------

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha!!!

--------------------------------------------------------

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the!!

--------------------------------------------------------

Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta
Aur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi Karta
Kabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai doston
K Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta!!

-----------------------------------------------------------

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai!!

------------------------------------------------------------

Tumhara Naam Sunte Hi Bahut Kuchh Yaad Aata Hai..
Khushi Me Guzra Hua Ek Zamana Yaad Aata Hai ..

Itna Door Ho Gaya Hu. Tumhe Bula Bhi Nahi Sakta ……
Aankhe Bandh Karte Hi Tumhara Chehra Yaad Aata Hai …

Kaise Bhuladu Tumhe Ab Tum Hi Batado Sanam …….
Kiya Tha Kabhi Jo Tumse Wo Wada Yaad Aata Hai ..

Kabhi Jaker Sagar Kinare Banaya Tha Jo Ghar Humne..
Aaj Toota Hua Ret Ka Wo Mahel Yaad Aata Hai ..

Kabhi Socha Na Tha Maine Hum Yu Bichhad Jayenge..
Bachpan Ka Wo Roothna Wo Manana Yaad Aata Hai ..

Char Pal Wo Zindagi Ke Wo Mehfilo Ki Roshni…
Deepak Ke Ujale Me Bhi Gum Ka Andhera Yaad Aata Hai….

Ab To Is Tanhayi Me Ghoont Ke Mar Jayenge Hum..
Hum Se Wo Chhoota Hua Tumhara Daman Yaad Aata Hai …

Aankhse Nikal Pade Hai Aansoo Hath Bi Ab Thum Gaye Hai..
Mai Poochht Hu Apne Apse Aur Kya Kya Yaad Aata Hai !!!

Betiyan



Maa-Baap ka Saath har Pal Nibhati hai Betiyan.
Ghar mai Khushali Har Pal Lati hai Betiyan.

Tamaam Pareshaniya Jhel Kar
Khush Rahti hai Betiyan.

Ghar mai Ujala na Ho Agar na Betiyan.
Raunak Gharao Ki Har Pal Badati hai Betiyan.

Wo Ghar nahi Veerana Hai,
Jismain na ho Betiyan

Naseeb Bhi Buland hote hai Unke,
Hoti hai Jinki Betiyan.

Keh-Kahon se har pal gunjta hai Aasiyana
Khamosiyon ko Door bhagati hai Betiyan.

Maa-Baap ki Sari Khushiyan Chin jati hai Ae “Devendra ”
Rukhsat Jis Roz Ghar se, Hoti hai betiyan!!!

Socha nahi acha Bura!



Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch bhi nahi,
Manga Khuda se  har Waqt, Tere siwa Kuch bhi nahi,


Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch bhi nahi,


Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar,
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch bhi nahi,


Aur Ek Shaam ki Dehleez par, Bethey rahe wo Der tak,
Aankhon se ki Batein bahut, Munh se kaha kuch bhi nahi,


Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jayega,
Aag par jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch bhi nahi!!!

-----------------------------------------------------------------

Talaash uss ki hai jis ko kabhi dekha bhi nahi
Khayal uss ka hai dil main jisay socha bhi nahi.


Khuda say apnay liyae iltija main kya karta
Talab hai uss ki hai jis ko kabhi maanga bhi nahi.


Sakoot-e-dil main ye ehsaas-e-zindagi kya hai ?
Qareeb paata hoon uss ko jisay chaha bhi nahi.


Qasaas mujh se woh kis kay lahoo ka maangtay hain
Woh khoon hai mere haatoo pay jo baha bhi nahi.


ilaaj mujh se bhi mumkin nahi mohabbat ka
Woh zakhm hai mere seenay pay jo saha bhi nahi!!!

इतने दोस्तो मे भी एक दोस्त की तलाश है मुझे!


इतने दोस्तो मे भी एक दोस्त की तलाश है मुझे!
इतने अपनो मे भी एक अपने की प्यास है मुझे!

छोड आता है हर कोइ समन्दर के बीच मुझे,
अब डूब रहा हु तो एक सािहल की तलाश है मुझे!

लडना चाहता हु इन अन्धेरो के गमो से!
बस एक शमा के उजाले की तलाश है मुझे!

तग आ चुका हु इस बेवक्त की मौत से मै!
अब एक हसीन जिन्दगी की तलाश है मुझे!

दीवना हु मै सब यही कह कर सताते है मुझे!
जो मुझे समझ सके उस शख्श की तलाश है मुझे!!!

दोस्तॊं से दोस्ती तो हर कोई निभाता है..
दुश्मनों को भी अपना दोस्त बनाना चाहता हूं, मैं..

ए खुदा, तमन्ना बस इतनी सी है.. कबूल करना..
मुस्कुराते हुए ही तेरे पास आना चाह्ता हूं, मैं..

बस खुशी हो हर पल, और मेहकें ये गुल्शन सारा..
हर किसी के गम को, अपना बनाना चाह्ता हूं, मैं.!!

Friday 26 March 2010

Maa


Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha

Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke "O Meri Maa"
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha

Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko!!

Apni Nazaron me har Insaan Sikandar kyuun hai..


Aaj ke Daur mein aye Dost ye manzar kyuun hai,
Zakhm Har Sar pe har ek Haath mein Patthar kyuun hai!

Jab Haqiiqat hai ke Har Zar're mein tuu Rahataa hai,
Phir zameen par kahin Masjid kahin Mandir kyuun hai!

                                Apanaa Anjaam to Maaluum hai sab ko phir bhi,
                              Apani Nazaron mein har Insaan Sikandar kyuun hai!



Zindagii jeene ke Qhaabil hi nahin ab "Devendra",
Warnaa har Aankh mein Ashkon ka samandar kyuun hai!
!

Value of Time!




To realize the value of ONE MONTH, ask a mother who gave birth to a premature baby,


To realize the value of ONE WEEK, ask the editor of a weekly newspaper,


To realize the value of ONE HOUR, ask the lovers who are waiting to meet,


To realize the value of ONE MINUTE, ask a person who missed the train,


To realize the value of ONE-SECOND, ask a person who just avoided an accident,


To realize the value of ONE MILLISECOND, ask the person who won a silver medal in the Olympics,


Treasure every moment you have! TREASURE EVERY MOMENT YOU HAVE!!

Thursday 25 March 2010

Abhi to Asli Manjil Pana Baqi Hai



Na Sangash Na Taqlif,
To Kya Majha Hai Jine Mein,
Bade Bade Tufaan Tham Jate Hai,
Jab Aag Lagi Ho Sine Mein!


isa Nahi Ki Raah Mei Rehmat Nahi Rahi,
Pairo Ko Tere Chalne Ki Aadat Nahi Rahi,
Kashti Hai To Kinara Nahi Hai Door,
Aagar Tere Irado mein Bolandi Bani Rahi!


Abhi to Asli Manjil Pana Baqi Hai,
Abhi To Irado Ka Imtihaan Baqi Hai
ABhi To Toli Muthi Bar Zamin
Abhi Tolna Asman Baqi Hai!


Na Pocho Ke Meri Manjil Kaha Hai,
Abhi To Safar Ka Irada Kiya Hai,
Na Haronga Hosla Umar Bhar,
Ye Mene Kisi se nahi khud se vadha kiya hai!


Hawa Mein Taash Ka Ghar Nahi Banta,
Rone Se Bigda Muqadar Nahi Banta,
Duniya Jitne Ka Hosla Rakh -e- Dost,
Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Banta!


Zindgi Me Kabhi Udaas Mat Hoona,
Kabhi Kisi Baat Par Nirash Maat Hoona,
Ye Zindagi Ek Sangarsh Hai Chalti Hi Rahegi,
Kabhi Apne Jine Ka Aandaz Mat Khona!!!