Monday 13 May 2013

Muhajir Nama Collection 3



Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

 Hunar bunte hue jisko dikhati thi meri beti
uthate waqt dastarkhawn daliya chor aaye hain..!!

 Wo chilman jisse aansu khoon ki surat tapakte the
usi chilman k peeche ek chehra chor aaye hain..!!

 Wahan ki khaq bhi mumkin hai hamse faasla rakh'khe
ki hum aate hue uska bharosa chor aaye hain..!!

 Bht chup chup se rehte hain shikayat bhi nai karte,
ki ae khaq e watan ham sath tera chor aaye hain..!!

 Ham aoni bebasi pe kafe afsoos malte hain'
ki KHAWAJA aapka bhi aastana chor aaye hain..!!

 Hamari dosti rehti thi har mausam k phoolon se
ham apne ghar k aangan ko mahakta chor aaye hain..!!

 Abhi tak zayka bhuli nai h ye zabaa unka
nahari chor aaye h kulcha chor aaye hain..!!

 Jala karti thi jaha roz o shab rishton ki kindeelein
ham eisi basti me ghup andhera chor aaye hain..!!

 Puraani yadon k mausam bht takleef dete hain,
so ham yaadon k darwaze pe taala chor aaye hain..!!

 Wo sondhi rotiyaan hamko yaha kaise mayassar hon,
wo mitti se bana ham apna chulha chor aaye hain..!!

 Hame jo bhi saza di jaegi wo kam se kam hogi
kuti chaandi me khat kisi ka lipta chor aaye hain..!!

 Murawwat, dosti ,ikhlaaq, apnapan, milansaari
yaha aate hue kya kya asaasa chor aaye hain..!!

 Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

1 comment: