Kahin mille to usay ye kehna !
faseel-e-nafrat gira raha hoon
Ga’ay dinon ko bhula raha hoon
Wo apne waday se phir gaya hai
Mai apne wade nibha raha hun
Kahin mile to usay ye kehna
Na dil mai koi malal rakhe,
Hamesha apna khyal rakhe!
Apne ghum sare mujhko de day,
Aur tamam khushiyan sambhal rakhe!
Kahin mile to usay ye kehna
Mai tanha sawan bita chuka hun,
Mai sare arman jala chuka hun,
Jo shole bharke thay khwahishon k
Wo ansuon se bujha chuka hun..!!
No comments:
Post a Comment