Saturday 27 March 2010

Kyu is tarha se mujhe chahta hai koi!



Dil ki awaaj se nagame badal jate hai,
Sath na de to apane badal jate hai,
Palaken jara sambal ke jhapakana,
Kyonki palaken jhapakane se
Aksar sapane badal jate hai!!

----------------------------------------------------

Agar pyar nahi karna ho to dil ko na lagana,
Apna chain kho kar khud ko na rulana,

Jis dil ko pyar karna na usko tod dena,
Yeh aaj ka nahi hai kissa hai purana,

Ulfat me aaj dekho koi kya se kua bana hai,
Koi ashq hai bahata koi ban gaya diwana,

Kuch logo ne pyar ko aise badnam kar diya,
Kyu karte ho pyar jab aata nahi nibhana,

Kuch ladke ladkiyan pyar ko kyu khel hai samjhte,
“SAGAR” ko bata do yeh kyu karta hai zamana!!

---------------------------------------------------------

Kyu is tarha se mujhe chahta hai koi,
Ki jese ehasaan utarta hai koi,

Ghar se bhahar nikla to tassali hui,
Duniya me aaj bhi phachanta hai koi!!

Jab koi dard de jata hai unko,
To kyu tanhaiyo me mujhe pukarta hai koi,

Mohbbat or dosti kabhi jhuti na kar pya mein,
Dhood se makkhi k tarah kyu mujhe nikalta hai koi,

Ab kisi or ki mohbbat Kabul na kar ashiqe,
Ki phir tujhe dard-e-mohbbat dena chahta hai!!

--------------------------------------------------------------

Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna

A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.

Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.

Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma!!

-----------------------------------------------------

Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye!!

--------------------------------------------------------

Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me!!

-------------------------------------------------------

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the!!

-----------------------------------------------------

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota!!

------------------------------------------------------

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye!!

------------------------------------------------------

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha!!!

--------------------------------------------------------

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
Yaad unhe din-raat kiya karte the
Ab un raahon se guzra nahi jaata
Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the!!

--------------------------------------------------------

Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta
Aur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi Karta
Kabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai doston
K Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta!!

-----------------------------------------------------------

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai!!

------------------------------------------------------------

Tumhara Naam Sunte Hi Bahut Kuchh Yaad Aata Hai..
Khushi Me Guzra Hua Ek Zamana Yaad Aata Hai ..

Itna Door Ho Gaya Hu. Tumhe Bula Bhi Nahi Sakta ……
Aankhe Bandh Karte Hi Tumhara Chehra Yaad Aata Hai …

Kaise Bhuladu Tumhe Ab Tum Hi Batado Sanam …….
Kiya Tha Kabhi Jo Tumse Wo Wada Yaad Aata Hai ..

Kabhi Jaker Sagar Kinare Banaya Tha Jo Ghar Humne..
Aaj Toota Hua Ret Ka Wo Mahel Yaad Aata Hai ..

Kabhi Socha Na Tha Maine Hum Yu Bichhad Jayenge..
Bachpan Ka Wo Roothna Wo Manana Yaad Aata Hai ..

Char Pal Wo Zindagi Ke Wo Mehfilo Ki Roshni…
Deepak Ke Ujale Me Bhi Gum Ka Andhera Yaad Aata Hai….

Ab To Is Tanhayi Me Ghoont Ke Mar Jayenge Hum..
Hum Se Wo Chhoota Hua Tumhara Daman Yaad Aata Hai …

Aankhse Nikal Pade Hai Aansoo Hath Bi Ab Thum Gaye Hai..
Mai Poochht Hu Apne Apse Aur Kya Kya Yaad Aata Hai !!!

No comments:

Post a Comment