Saturday 27 March 2010

Phool bankar muskarana zindagi hai!



Phool bankar muskarana zindagi hai,
muskarake gum bhulana zindagi hai,
jeet kar koi khush ho to kya hua hai,
haar kar khushiya manana bhi zindagi hai!!

---------------------------------------------------------------
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!!

---------------------------------------------------------------
AB aUR mANZIL pANE kI hASRAT nAHI,
kISI kI yAAD mE mAR jANE kI fITRAT nAHI,
aAP jESE dOST jABSE mILE,
kISI aUR kO dOST bANANE kI jARURAT nAHI!!

----------------------------------------------------------------
Is kadar ham unki mohabbat me kho gaye,
Ki ek najar dekha aur bas unhi ke ham ho gaye,
Aankh khuli to andhera tha, dekha ek sapna tha,
Aankh band ki aur, unhi sapno me phir so gaye!!

-------------------------------------------------------------------
Dosti me dil ka tamasha dekha nahi jata,
Hamse tuta hua sheesha dekha nahi jata,
Apne hisse ki khushiya bhi de du tujhe,
Ae dost tera utra hua chehra dekha nahi jaata!!

---------------------------------------------------------------------
Din tere khyaal me gujar jaata hai,
Raat ko bhi tera hi khyaal aata hai,
Kabhi-kabhi ye khyaal is kadar bad jaata hai,
Ki aaine me bhi tera chehra najar aata hai!!

---------------------------------------------------------------------

Yaar ne dil ka haal batana chod diya,
Hamne bhi gahraai me jaana chod diya,
Jab usko hi doori ka ehasaas nahi,
Hamne bhi ehasaas dilana chod diya!!

---------------------------------------------------------------------

Bikharti zulf ki parchaiyan mujhe de do,
Tum apni sham ki tanhaiyan mujhe de do,

Main tumko yaad karun aur tum chale aao,
Tuma apne pyar ki sachaiyan mujhe de do,

Main doob jaun tumhari udaas ankhon mein,
Tum apne dard ki gehraiyan mujhe de do,

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do!!

---------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment