Saturday 11 May 2013

Muhajir Nama Collection 1


Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

Agar sach-much koi puche to usko kya batayeinge,
ki apni masjidon ko kyu akela chor aaye hain..!!

Jo pag-dandi hamare gaon se us gaon jati thi,
use sailaab k paani me behta chor aaye hain..!!

Hame apni taharat par hamesha naaz rehta tha,
magar ham dosti ko karke maila chor aaye hain..!!

Kadak lehje ki aadat ab ye majboori hai hamari,
yahan aate hue boli purabiya chor aaye hain..!!

Bichadte waqt dushwaar tha uska saamna krna,
so uske naam ka ham apna SANDESA chor aaye hain..!!

Chale to aaye hain khawaja ki basti chor kar lekin,
ham us chaukhat par sar rakh'kha ka rakh'kha chor aaye hain..!!

Yahan ham kisse rutheun kaun aayega manane ko,
mana leta tha jo hamko wo apna chor aaye hain..!!

Yahan aate hue pehron lipat kar jisse roye the,
ham apne ghar me wo deewar-e-giriya chor aaye hain..!!

Wo holi khelte bachche gale milte hue bude
muqaddas pyar k rango ko bhikra chor aaye hain..!!

No comments:

Post a Comment