Saturday 18 May 2013

Muhajir Nama Collection 4


Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

 Ab bhi laut jaane ki tamanna sar uthati hai,
ki ham jayas, naseerabad ,takiya chor aaye hain..!!

 Gale me haath daale ghoomte the mukhtalif mazhab
wo kaashi chor aaye hain wo mathura chor aaye hain..!!

 Kaha dhaka ki mammal aur kaha ye khaal se kapde
to kya ham apna shuk e perahan bhi chor aye hain..!!

 Ham uski "jheel aankhon " me kai kankar uchaal aaye
ham uske " phool chehre " par muhasa chor aaye hain..!!

 Hame rota hua wo shaks ab bhi yaad aata hai
jise ham be sabab aur be irada chor aaye hain..!!

 Parindon ki guzarish par bhi hamne kab kadam roke
sada deta hua ham ek papiiha chor aaye hain..!!

 sunhare khawab dekhein bhi to kis tarah dekhein
ki saare neend k mausam to us ja chor aaye hain..!!

 Agar sach-much koi puche to usko kya batayeinge,
ki apni masjidon ko kyu akela chor aaye hain..!!

 Hame apni taharat par hamesha naaz rehta tha,
magar ham dosti ko karke maila chor aaye hain..!!

 Muhajir hain magar ham ek duniya chor aaye hain,
tmhare paas jitna ha ham utna chor aye hain..!!

No comments:

Post a Comment